aaj phr rony ko ji chahta hay aaj phr toot k bkhrny ko g chahta hay

aaj phr rony ko ji chahta hay
aaj phr toot k bkhrny ko g chahta hay

aaj phr uthta hay dard senny may
aaj phr say mar jany ko ji chahta hay

aaj phr tum yaad behesab aa rhy ho
aaj phr say tujhy bhulany ko ji chahta hay

Aaaj phr tujhe mango Khuda say
aaj dunya say guzar jany ko ji chahta hay

Aaj ki din nay sataya hay buht
Aaj k rat say dar jany ko ji chahta hay 

aaj khood say b hon rothi rothi
aaj qesmat ko bhi tarpany ko ji chahta hay

Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai Wo khuwab mein bhi na mil saky ga

Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai
Wo khuwab mein bhi na mil saky ga

Khabar nahi thi kisi bhi rutt mein bhi
Ye phool dil ka na khil saky ga

Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam

Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam

Ye mein ne socha kabhi nahi tha
Ke sochne ki saza mily gi

Muhabbaton ki praayi, baarishon mein
Bheegne ki saza mily gi

Badal geya hai qareeb aa ke
Khuwahishon mein nahaya mousam

Main ne asaab ko pat'thar ka bana rakha Hai !!

Main ne asaab ko pat'thar ka bana rakha Hai !!
Ek dill Hai k banta he nahin pat'thar jaisa !!

ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !!

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan
Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan

Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan

Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi
Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa

Wo husn o mujasim kamaal uski ankhen

Wo husn o mujasim kamaal uski ankhen

Wo husn o mujasim kamaal uski ankhen
Sarapa muhabbat Jamaal uski ankhen

Jhuken to lagti hain zevar haya ka
Uthen to Karen phir sawal uski ankhen

Milen to mai dono jahan dekar lelon
Wo chehra wo zulfen wo gaal uski ankhen

Agar koi poche ke dunya mai Kya hai
Dewana kahega misaal uski ankhen

In ankhon ke kajal mai dooba hon shayad
Ajab phir chali hain ye chaal uski ankhen

Cheekhen bhi yahan ghor se sunta nahi Koi

Cheekhen bhi yahan ghor se sunta nahi Koi

Kin logon mai tum shair sunane nikal aye

Jitni chahat se tujh ko dekha hai

Jitni chahat se tujh ko dekha hai
Itni chahat se Kuch nahi dekha

Apni ankhon mai dekh lene do
Maine muddat se Kuch nahi dekha

Ankhon mai de ke anso najane kidhar gaye

Ankhon mai de ke anso najane kidhar gaye
Yadain hain bas tumhari hum to jidhar gaye

Aao aur aake mujh ko samaito zara
Tere bagair hum to tinka tinka bikhar gaye