Khamosh lab hain jhuki hain palken

Khamosh lab hain jhuki hain palken
Dilon mai ulfat nayi nayi hai
Abhi takaluf hai guftugu mai
Abhi muhabbat nayi nayi hai

Abhi na ayegi neend tum ko
Abhi na hum ko sukoon milega
Abhi to dharke ga dil zyada
Abhi ye chahat nayi nayi hai

Bahaar ka aaj pehla din hai
Chalo chaman mai tehel ke ayen
Fiza mai khushbo nayi nayi hai
Gulon mai rangat nayi nayi hai

Jo khandani raees hain wo
Mizaaj rakhte hain narm apna
Tumhara lehja bata raha hai
Tumhari dolat nayi nayi hai

Zara sa qudrat ne kya nawaza
Ke aake bethe ho pehli saff mai
Abhi se urhne lage hawa mai
Abhi to shohrat nayi nayi hai

Teri baaton ko chupana nahi aata mujh se

Teri baaton ko chupana nahi aata mujh se
Tune khushbo mere lehje mai basa rakhi hai

Khud ko manwane ka mujh ko bhi hunar ata hai

Khud ko manwane ka mujh ko bhi hunar ata hai
Mai wo qatra hon samundar mere ghar ata hai

Mareez e muhabbat ko faqat deedar kafi hai

Mareez e muhabbat ko faqat deedar kafi hai
Hazaron tib ke nuskhon se nigah e yaar kafi hai

Zulf ne bal koi khaya to bura maan gaye

Zulf ne bal koi khaya to bura maan gaye
Chand badli mai jo aya to bura maan gaye

Aur to sab ko pilate rahe mast ankhon se
Hath saagar ne jo barhaya to bura maan gaye

Sari raat unki goad mai hamare anso girte rahe

Sari raat unki goad mai hamare anso girte rahe
Subha howi to wo bole raat barish kamaal ki thi

Mujhe to is khabar ne hila ke rakh diya

Mujhe to is khabar ne hila ke rakh diya
Ke mai kahin zinda dekha gaya hon